Lyrics लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Lyrics लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

शनिवार, 13 सितंबर 2025

Aap Bhi Aayiye Humko Bhi Bulaate Rahiye,Jagjit Singh

 


aap bhi aaiye ham ko bhi bulaate rahiye

dosti jurm nahin dost banaate rahiye


zahar pee jaaie aur baantie amrit sabko

zakhm bhi khaaiye aur geet bhi gaate rahiye


waqt ne loot leen logon ki tamannaayein bhi

khwaab jo dekhiye auron ko dikhaate rahiye


shakl to aapke bhi zehan mein hogi koi

kabhi ban jaayegi tasveer banaate rahiye

शनिवार, 23 अगस्त 2025

Aao Seene Se Lag Ke - Kailash Kher


 

Zindagi
Zindagi
Zindagi
Zindagi

Aao Seene Se Lag Ke, Mar Jaaye Hum
Aao Seene Se Lag Ke, Mar Jaaye Hum
Na Tum Raho Tum, Na Hum Rahey Hum
Na Tum Raho Tum, Na Hum Rahey Hum
Ishq Mein Naya Rang Bhar Jaaye Hum
Ishq Mein Naya Rang Bhar Jaaye Hum
Aao Seene Se Lag Ke, Mar Jaaye Hum
Aao Seene Se Lag Ke, Mar Jaaye Hum



Dheere Dheere Ehsaas Yun Ho Raha
Dheere Dheere Ehsaas Yun Ho Raha
Ajanbi Kyun Apna Sa Lagne Laga
Sochta Hoon Woh Humsafar Hai Magar
Sochta Hoon Woh Humsafar Hai Magar
Dil Ko Na Jaane Kyun Dar Sa Lagne Laga
Dil Ko Na Jaane Kyun Dar Sa Lagne Laga
Khwaishon Ki Zameen Par, Nazar Aaye Hum
Aao Seene Se Lag Ke, Mar Jaaye Hum

Tum Mile To Mile Mujhey Dono Jahan,
Tum Mile To Mile Mujhey Dono Jahan
Har Tamanna Meri Chuu Rahi Aasmaan
Dil Kahey Dil Kahey
Dil Kahey Mujhse Tum Ye Kaho Baar Baar

Main Lutaa Doon, Main Lutaa Doon
Main Lutaa Doon Tere Pyaar Mein Apni Jaan

Paas Tum Ho Lage Dar Kidar Jaaye Hum,
Paas Tum Ho Lage Dar Kidar Jaaye Hum
Na Tum Raho Tum, Na Hum Rahey Hum
Na Tum Raho Tum, Na Hum Rahey Hum
Ishq Mein Naya Rang Bhar Jaayey Hum
Ishq Mein Naya Rang Bhar Jaaye Hum
Aao Seene Se Lag Ke, Mar Jaaye Hum
Aao Seene Se Lag Ke, Mar Jaaye Hum
Zindagi
Zindagi
Zindagi
Zindagi
Zindagi

Zindagi Ka Safar Khatam Hota Nahin
Zindagi Ka Safar Khatam Hota Nahin
Chalte Rehna Hi Shayad Hai Kismat Mein Yehi
Aye Meri, Aye Meri
Aye Meri Zindagi Mujhko Itna Bataa
Pyaar Karna, Pyaar Karna
Pyaar Karna Mera Kuch Gunaah To Nahin
Ek Dil Lakho Gham Hai Kidar Jaaye Hum,
Ek Dil Lakho Gham Hai Kidar Jaaye Hum
Na Tum Raho Tum, Na Hum Rahey Hum
Na Tum Raho Tum, Na Hum Rahey Hum
Ishq Mein Naya Rang Bhar Jaaye Hum
Ishq Mein Naya Rang Bhar Jaaye Hum
Aao Seene Se Lag Ke, Mar Jaaye Hum
Aao Seene Se Lag Ke, Mar Jaaye Hum
Zindagi
Zindagi
Zindagi
Zindagi.